Is jamm-e-ghafeer may kabhi apna bhi ho nishaan
Is aatish-e-firaq ka mere maula aur le na imtihaan
Teri makhluq ko haasil hai Teri zaat ka nishaan
Kaise kahun Mai apni zaat ko Zarra-e-be-nishaanIs aatish-e-firaq ka mere maula aur le na imtihaan
Teri makhluq ko haasil hai Teri zaat ka nishaan
adam ko makan dekar khud ho gaya aap la-makaan
mohtaj saarey alam aur sartaj tera noor bekaraan
tere jalwon may jo dooba pahuncha kahan kahaan
bana roz-awal noor tera mera mehbub-e-do-jahaan
dil gar seerat-e-ishq se waqif ho to hota hai kamraan
warna surat to ek perda hai jub tak dil hai be-zubaan
khaaki ki khaak se dil lagaane ki naii nahi hai dastaan
laikin mere maalik aakhir tere hi to hain dono jahaan
banda-e-bashar ke ahawaal ka tu hi tu hai nigehbaan
ek nazar meher ki tere dar per le aayegi meherbaan
No comments:
Post a Comment