loag baab daras ke khol baithey hain
khud ke ghulam hain bhul baithey hain
hain hum bhi inhi adnaaon ki bheed may
us ki raah may dil apna doal baithey hain
vo ruposh hogaya hai par pas-e-pusht hai
phir kyon be-khayal be-moal baithey hain
maand padhne laga hai hasrathon ka rang
ke her baat apne dil ki boal baithey hain
haasil saraab ka faqat sehera ki pyaas hai
fareb us pal ke hissar ka bhul baithey hain
khud se door hain aap se nahi hain door
apne hi dil say nalaan malul baithey hain
No comments:
Post a Comment