mai kal bhi khwab thi
aaj bhi deewane ka khwaab hun
apne her adhure khwaab ka
khud mukammal jawaab hun
kaatib-e-qalam ki soch ka
mai ek adhura baab hun
dilon ka bhedh jahan ashkaar ho
mai us faqeer ka bekal rubaab hun
jo aake ek baar teher gaya wahin
mai us nigah ka mehekta shabaab hun
mohabbaton ki tarha nawaza gaya jisey
mai us sagar ki ana ka adna hubaab hun
kal bhi jawaz tha aaj bhi hai zindagi
uske baghair mai khaali kitaab hun
duniya karle laakh uske haal ka shumaar
mai uski khamoshi ka bhipra chanaab hun
muddat huii mujhe apna dil tatol kar
aaj bhi usi daur ka koi sukha gulaab hun