khudaya tujhe dhundte hain jo
vo paa kar bhi tujh ko paate nahi
jo badha kar maangte hain haath
kyon dilon ko ghar banaate nahi
deewaron may chun kar apni zindagi
saanson ke liye yon chatpataate nahi
yaa-rab hawa di sab ki parwaaz ko
gar samajhte ek dusre ko giraate nahi
apni mohabbat ka maa ko pyamabar kiya
warna jahaan may insan sakun paate nahi
do rukhi aaina dil dikhaaye bhi tou kya
jaan lete gar,khud se nazar churaate nahi
mokhtasar si kahani ka unwan dhund kar
yon zindagi pal pal apni ganwaate nahi
apni ramhat ki farakhi maamta may rakhi
gar jaan lete door qadmon se jaate nahi
raat din ka hosh ho vo mohabbat tou nahi
ye vo alam hai jahan kisi ko lautaate nahi
ek umar ki jung jeet jeet kar haara kiye
waqt rahte hum insaan samajh paate nahi
amma tumhara hona tha hona ek nizaam ka
ek tumhare baghair manzar ye bhaate nahi
No comments:
Post a Comment