Search This Blog

Wednesday, May 2, 2018

ek lamha bichda hua ........................

koi bichda hua lamha tha
is pal ko chu kar guzra hai
-----------------------------------------

in be-tarteeb khayalon ke
is moham se taane baane may
chupey kitne afsaane hain
jo tum ko sunaane hain
chale aao aa bhi jaao
ek raat adhi adhuri si
lafzon may samaana chahati hai
kisi khushbu ke hisaar may kho kar
koi dhun jagaana chahati hai
kaho kya kahun mai in lamhon say
jo dheeme dheeme guzar hi jaate hain
is pal ki khamoshi ka shor machaate hain
khayaalon may aa aa kar jum jaate hain
phir koi patharaii hui khahish per
puri quwat se zarb lagaate hain
Aah! nadaan ye bhul jaate hain
her baat ki ek umar hoti hai
jazbaat ki bhi ek umar hoti hai
koii keh de jaa kar un say
be-waqt kyon chale aatey hain

No comments:

Post a Comment