umar ka dhoka na de mujh ko deewane
ke umar hai dhoka dil kyon nahi maane
jo baat dil ki hai dil hi may na reh jaaye
shauoor se poocha vo bhi nahi maane
zindagi bandh ankhon may na guzar jaaye
behne de palkon se chalakte ye paimane
hasti ka ek din neest hona moqadar hai
laga kyon abhi se taboot may keel lagwane
tujhe tera hone nahi denge tere paimaane
her buund hai sheesha her taraf hain aaine
hosh se begaana kar dein,hain vo begaane
bheys kis ka liya hai apnon ne khuda jaane
usey manzur gar hota vo mere rubaru hota
meri soch ki perwaz may tu hi hai deewane
No comments:
Post a Comment