mere in be tarteeb khayalon ka
bhataktii soch aur sawaalon ka
akhir koi na koi tou sabab hoga
muddat se dil per na hui dastak
sehra be-aab-bayaban si kasak
akhir koi na koi tou sabab hoga
siyah raat ko noor ki jaise talaash
ek naii subah ek naya roop tarash
akhir in halath ka koi matlab hoga
mujh se pehle mujh ko suna karte hai
Baat meri mujh se pehle kaha karte hai
akhir in inayaat ka koi matlab hoga
aye rooh-e-khayaal aye ishq-e-mohal
hai ye tera karam hai ye tera kamaal
akhir in jalwon ka koi tou sabab hoga
ayin sadat hai khayaal ki ye mashaal
Rang laaya hai teri mohabbat ka gulaal
Izhar-e-karam her dum ba-adab hoga
No comments:
Post a Comment