shab-e-intizar per naii seher khili hai
-----------------------------------------------------
raaz bandagi ka ab khula hai khird per
azal se humsafar they tere hi charagarh
barson sar jhuka kar tahi damani pe roye
umar bhar zindagi ne khaar duniya ke boye
ab ke haath aaye tujhe paane ke qareene
ab jaa ke paaya hai sajdon ko jabeen ne
raaz teri qurbaton ka paa liya hai maine
Her surat teri surat bana daali hai tune
ghalthan rahe sada ghairon ke tajziye may
khud per nazar padi,lage hain Ansoo peene
maula teri rahmat qareeb thi kitni dilon se
gerdan zara jhukate paa jaate hum safeene
gar tu meherbaan hai her ankh dostaan hai
ek tere karam se hi,apna yehan nishaan hai
teri hi sohabatein majaz may theen payein
Hain khana-e-dil may tere ishq ki adayein
ghum-e-hijiran ka daras,tha marifat ka aayin
vavela machahte huye dil bhi hogaye shaheen
tu mil gaya jise,gerdab may rahbar ki surat
us deewane ko na patwar ki na saahil ki zarurat
sadiyon ki musafat taye kar li ek jast laga kar
tu ne kya kya nahi samjhaya bande ko jaga kar
No comments:
Post a Comment