Search This Blog

Tuesday, September 3, 2019

Ye zindagi usi ki hai....





tujhe tou sab patta hai
mere saath kya hua hai
maula tera hi faisla hai
ilzaam kisi ke sar gaya hai

teri zaat may jo chupa hai
wahi adam ka martaba hai
isme adam ki kya khata hai
perda tere hukum se gira hai

ye teri chahat nahi tou kya hai
ban kar koi iblis nikal gaya hai
hawwa ki laghzish may kya naya hai
adam may tera ishq hi chupa hai

azmaya de kar,darvesh ko sadar-e-dil bhi
veeranon may warna husn kya dhara hai
teri pehchan ka sira faham ko mil gaya hai
ab kya ishq kya junun inme kya rakha hai

mamla dilon ka maula, teri rasa kashi hai
is tana tani may muft banda mar raha hai
karam bhi tere sitam bhi,ilzam ye kya hai
akhir bhale bure ki,kya tafreeq kya jama hai

ye aane jaane ka maula kheil tune kya racha hai
mohabbat ki fasal bo kar,kaatne ki kya saza hai
tune mitti may boye adam, mitti se hi ghadey bhi 
khushiyan ka iwaz ye, de kar lene ki kya ada hai

andaz teri hikmaton ke libada odh kar mile hain
pareshan faham,nafs nadan,shikar hote rahe hain
mulzim, mazlum ke dayere ilzam se nikal gaye hain
ke faisle dono taraf ke yarab,tu ne hi tou kiye hain

No comments:

Post a Comment