Search This Blog

Saturday, September 21, 2019

Had-e-nazar tak bas tu hi tu hai.....



ye raat aur timtimate  sitaare
diye se jul uthey hain saare
ye khilwaton ki mehefil
ye andheron may jhilmil
muddaton se maand jo pade they
unhi khwabon ka lagte hain haasil
had-e-nazar tak bas tu hi tu hai
meri khahishon ki purani arzoo hai
meley se lagay huye hain dil may
ye sakut bol utha hai mere dil may
unko sunna chahte ho tou aao
is duniya ki bheed se nikal kay
charon taraf jub ho"huu"ka alam
faham aur dil milte hain baham
insan taqleed ka hai sada se aadi
dosto,suno kabhi dil ki manadi 
raaz asliyet ke uthayenge perde
jo khud se mila de aisa peher de
sakun ka seher pursakun hai jitna
khuda aur bande ka talluq hai itna
koii aur uske siwa na humqadam hai
sab usi ke aur ek wahi humdum hai
is siyah raat ki qasam tanha nahi hum
khushian hain uski usi ke sabhi ghum
karro-bayan may mera rahbar chupa hai
usi ka karam ye mohabbaton ka silsila hai

No comments:

Post a Comment