Mai ney kaha,tujhe kyon mera yaqeen nahi hai
Ye zameen hai khuda ki,yehan koi kami nahi hai
------------------------------------------------
ye dil bazid kyon hai aaj bhi
apne guman per yaqeen per
kya waqi utra koii khayal say
kya waqi mila tha chaaragar
mudaton se muntazar sawaal ka
jawab ban kar mila tha rahabar
zindagi ki talaash may jo gum huye
un nakaam hasrathon ka jaam bhar
le doobi thi ek ghunt ki tishnagi
pyaas un ki na bujh saki umarbhar
rab ne samjhaya kaise kaise "aah" dil
daayera hikmaton ka,duniya mokhtasar
khaki ko mila badan, per haaye dil
dil ne li jaan warna kaam ka tha bashar

No comments:
Post a Comment