meri musafaton ka tu pooch na musafir
her mode hai sarab her lamha koi khwab
door tak na koi manzar na hai koi suragh
jo dhundta phir raha ho khud nishaan apna
jo khud sarapa sawal ho kya de sakega jawab
andaz tarz-e-guftagu ke seekhe ankhon se sabhi
jahan mehktey they khamoshi may dil ke gulaab
aaj tak lag rahe hain taaza us daur ke tamam pal
hum waqi abur kar aaye they ehsasath ke chanaab
mitti ki haqeeqat mitti hotey hotey patta chali hai
bantey bigadtey aks samjha gaye faani hai shabab
do ghadi ankh kya lagi haqeeqat ashkaar hogaii
safar is jahan say us jahan ka yon hota hai taye janab

No comments:
Post a Comment