kum se kum itna tou hai
ke woh mujh say mohabbat karta hai
chahe paas na ho door hi ho
ehsas ban kar dil may rahta hai
dekhe they jugnu us ki ankhon may
koi jhimil si dil may roshan karta hai
jaise koi taara tut ke dil per girta hai
kya waqi ye meher hui thi hum per
pal pal banda jaan se guzarta hai
nawaqif they hum ishq ki in chaalon say
ab jaan gaye koi kisi pe kaise marta hai
rab ne bhi bande ki nabz sahi pakdi thi
apni pehchan ki khatir hi dil banaya karta hai
dil se dil tak ka safar yon hi taye hota hai
derd kisi ko hota hai aahein koi bharta hai
chaak gareban pyaase lub seherai sa hai dil
khali ankhon may vo saawan sa uterta hai
is taptey sehra may maano ek konpal sa
door ufaq per ek saaya doobta ubharta hai
is ankh micholi may saara sach poshida hai
banda is saudey may khud ko lutaya karta hai

No comments:
Post a Comment