koi dil ki baat kyon kare
koi chahe jiye mare
waqt ka ye carvan
mujhe chod kar badh gaya
mai wahin khadi rahi
jahan tu mujh say bichad gaya
koi dil tak na pahunch saka
na nigahon ka bhed pa saka
sab bas apni khudi may hi rahe
koi khud ko na samajh saka
badi ajib hai ye zindgi
koi apna, apna na raha
hain mutaharik saaye jism ke
kahaan hai in may zindgi
kahaan miti rooh ki tashnagi
na jazbon may hai koi dilkashi
yehan sab hain ajnabi ajnabi
koi maangta hai jaan meri
kisi ko chahiye bas haaziri
ajab hai waqt ki behisi
rishton ki raanaai bhi gaii
lafzon ke teer hain itne kargar
batey deewar ke baghair bhi
jo they jism-o-jaan mere
vo bhi kub ke rukhsat huye
jinhen hukumaton ka shauq hai
fun dilon ko jeetne ka seekh len
maskhar na hosakegi jungon say ye
ajab hai ye dil ki zameen
koi pyaar say rakhde qadam
uske liye bich jaayegi wahin
ye nishaniyaan hain wahi
jub hoga koi kisi ka nahi
log apne saayon say khauf khayenge
tanha haath malte rah jaayenge
kar haqeeqat ka apni saamna
siwa rab ke kisi say na maangna
saath ho ya halaath hon
her surat may usi ko thaamna
pukaar aur arsh-e-anbareen
dono ka faasla hai bas ek jabeen
ye daur khud ko dohrayega
her daur paayega phir ek mubeen
No comments:
Post a Comment