is dubti shaam ko phir se dekh
bharosa hai teri amad ka
sab sojaate hain odh ke raat ki ye chadar
per ye shab bhar jaaga karti hai
gar mai sogaii tou phir shayed
us say kabhi mil na sakun
us say milna kitna zaruri hai
us say mil kar keh na sakun
her shab guman yehi hota hai
kya kabhi vo bhi kahin sota hai
shayed meri bojhal ankhon ne
uski palkon ko hawa dedi ho
kahin koi halki si jhapki
uske hosh kabhi le doobi ho
tabhi vo mujh ko bhul gaya
usey subah-e-nau ka na hosh raha
vo deewanon ki majlis may
ek deewane ko feramosh kar hi gaya
khair uske kaam hazaron hain
unme ek aur furqat ka maare ka hona kya
kya hua gar usko na yaad raha
is shaam ko roz hi aana hai
tujh say ek roz gale mil jaana hai
tu laakh chupa le mukh apna
us naqab ko ekdin gir jaana hai
No comments:
Post a Comment