ab door khadi mujh pe hansa karti hai
shaakh say gul aur chaman say bulbul ka
ek haseen tallukh yehi tou hua karti hai
kaha maujh ko tufan ne thama kar kashti
dekh le ye kis ki marzi pe chala karti hai
bayabaanon ko bhala kya ghum tanhai ka
zindagi in say hi apne israr kaha karti hai
waqt aur hasti ka sabab tha maalum kise
zindgi ek sarphire ka khwab jiya karti hai
ghaafil taayer ki udaan pal do pal hi sahi
isi perwaaz ka naam zindagi hua karti hai
No comments:
Post a Comment