Search This Blog

Friday, December 25, 2015

be-shak khamoshi karam hai.....................







ye  mosam bujha bujha sa
kyon  tufaan utha raha  hai
be-khabar saakt fizaaon ko
kya manzar dikha raha  hai
be-shak khamoshi karam hai
kyon hulchal macha raha hai
ana-parast shaitan bhi bada hai
insaan se bhi yehi gila raha hai
maana ajz ba-adab ki hai zeenat
be-adab se kyon mat kha raha hai
tujhe mehbub hai sar jhukana
dekh kis ke aage jhuka raha hai

Friday, December 18, 2015

her su gar ishq nazaara hojaaye...........................



ek soach zehen may ubhari hai
baat samjho tou geheri hai
loag  kitney munafiq hotey hain
her dum ye kehtey rehtey hain
sab ko ek din wapis jaana hai
rab ka waada sab se sohna hai
jis ghadi bulawa aayega
saare daawey bhul jaayenge
bas ye kehte nazar aayenge
yehan kitne apne pyaarey hain
in kay dil ghar hamaarey hain
ek dil apna hi bhul jaayenge
apne khaul se nikal aayenge
jo ghar hai bas apne qaliq ka
bandey ka rishta hai salek ka
maang maang kar mar hi jaayenge
per maangney se baaz na aayenge
chund ghadiyion ke aur sawaali hain
daman puur hain phir bhi khaali hain
ghaur karo bashar kahan se aaya hai
usne apna jasd kahaan se paaya hai
teri hasti laakh khaaki sahi
ismey tou rab ka hi noor samaaya hai
dil per kub se ye duniya qaabiz hai
gar aisa hai tou khuda hi haafiz hai
aakhir aaya hai tou jaayega
bekaar ki takraar se kya paayega
tujhe rab ne hi jahaan ye bakhsha hai
tera her ansar uska hi naqsha hai
tu kuch bhi nahi hai uske siwa
tu karle laakh jatan deewaney
rooh uski hai ho jaayegi hawa
maine ansoo tou adam ke bhi dekhe hain
uske qadam bhi derd may behekey hain
bashar ke haath agar ye raaz aajaaye
phir her zee rooh qaraar paa jaaye
mohabbat kya khaak karega khaaki
ek rab ki mohabbat hi rahegi baaqi
her rishtey may samjho tou wahi jhalke
her surat ko dekho zara ankhen mal kay
her su gar ishq nazaara hojaaye
hum rab kay rab hamaara hojaaye

Wednesday, December 16, 2015

manzilien junun ki.............








ye  hawaas mere gawah hain
ye sada derd ke dilruba  hain
kaha  junun ki  manzilon nay
ye  kisi  intiha  ki ibtida hain
------------------------------------

chaley aao. aao, aajaao..................



in be-tarteeb khayaalon kay
is taane baane may
kitney chupe afsaaney hain
jo tum ko sunaaney hain
chaley aao. aao, aajaao
ek raat adhi adhuri si
lafzon may samaana chahati hai
kisi khushbu ke hissar may kho kar
koii dhun jagaana chahati hai
kaho kya kahun mai un lamhon say
jo ummid ki suli per latkey hain
jo khamosh shor machaate hain
kitna iradon ko koi bhatkaaye
khayaalon may aakar jum jaatey hain
phir koi pathraii huii khahish per
puri quwat say zarb lagaate hain
aah! nadaan ye bhul jaatey hain
her baat ki ek umar hoti hai
halaath ki chahe ho na ho
jazbaat ki umar bhi  hoti hai
phir kyon be-waqt chale aate hain

Thursday, November 12, 2015

hasrathon ka rang.......................





loag  baab daras  ke khol  baithey hain
khud ke ghulam hain bhul baithey hain
hain hum bhi inhi adnaaon ki bheed may
us ki raah may dil apna doal baithey hain
vo ruposh hogaya hai par pas-e-pusht hai 
phir kyon be-khayal be-moal baithey hain
maand padhne laga hai hasrathon ka rang
ke her baat apne dil ki  boal baithey hain
haasil saraab ka faqat sehera ki pyaas hai
fareb us pal ke hissar ka bhul baithey hain 
khud se door hain aap se nahi hain  door
apne hi dil say nalaan malul  baithey hain

Thursday, November 5, 2015

Adam ko makaan de kar......





Is jamm-e-ghafeer may kabhi apna bhi ho nishaan
Is aatish-e-firaq ka mere maula aur le na imtihaan
Teri makhluq ko haasil hai Teri zaat ka nishaan
Kaise kahun Mai apni zaat ko Zarra-e-be-nishaan
adam ko makan dekar khud ho gaya aap la-makaan
mohtaj  saarey alam aur sartaj tera noor bekaraan
tere  jalwon may  jo dooba pahuncha kahan kahaan
bana  roz-awal noor tera mera mehbub-e-do-jahaan
dil gar seerat-e-ishq se waqif ho to hota hai kamraan
warna surat to ek perda hai jub tak dil hai be-zubaan
khaaki ki khaak se dil lagaane ki naii nahi hai dastaan
laikin mere maalik aakhir tere hi to hain dono jahaan
banda-e-bashar ke ahawaal  ka tu hi tu hai nigehbaan
ek nazar meher ki tere  dar per le aayegi  meherbaan

Wednesday, October 28, 2015

her tehra hua mosam....................




waqt ke haathon 
insan shikar hota hai
her tehra hua mosam
aakhir guzar hi jaata hai
sadiyon ka shor bhi ekdin'
sunnaton may dhal hi jaata hai
jawan her khwab bhi ek shab
ahista ahista so hi jaata hai
gosht post ki saikdon sadaon ka
dalilon say gala ghuut hi jaata hai
husn ki haqeeqat say ghabra kar
khud say tak nazar churata hai
maaya si kaaya ka jaal phaila kar
khud apni haqeeqat bhul jaata hai
is jahaan ko phir zindgani hai
insan ek baar hi may chuut jaata hai
raah pehchan ki nahi hai pecheeda
khud say guzar kar hi khuda haath aata hai

Tuesday, October 20, 2015

Sehera sairab bhi hai aur pyasa hai.......




aye  dil  tera shikwa kuch aisa hai
sehera sairab bhi hai aur pyasa hai
ye sairaabi teri fitrat ka paansa hai
pyaas  mutlashi rooh ka khaasa hai
ghum na kar ke  tahi-daman hai tu
ayesh-koshi  mahaz ek jhaansa hai
qeemat  maangne waale bhul gaye
un ki  hasti ka ye mole zara  sa hai
bashar, duniya rab ki nawazish hai
samjho to khazana warna kaasa hai
sadion say qufas ka aadi insaan hai
soch,teri soch pe ye pehra kaisa hai

Thursday, October 15, 2015

Loag mohabbat karlenge....


Loag mohabbat kar lenge
Dum wafa  ka  bhar lenge
dastur yehi hai  jazbon ka
her derd gawara kar lenge
kya kaam dil  ka duniya se
tere dil pe guzara karlenge
ye  umr ki konsi  manzil hai
is ghum say kinara karlenge
Kabhi hosh ko tu awaz to de
Teri sada ko Sahara karlenge
Jub dhundegi tujh ko nazar
Hersu tera nazaara kar lenge
Ye daur khwab hai tilsim hai
ye pal pal hamaara karlenge
mehbub nahi kuch tere siwa
bas mehbub hamara karlenge

Wednesday, October 7, 2015

tum kehte ho mai likhti hun.....................................




tum kehte ho mai likhti hun
mai likhti hun tum kehte ho
khizan-rasida khayalon may
phir ek naya rang bharti hun
apni beeti kahan is qabil hai
mai tarikh tumhari likhti hun
loug kahenge mai paagal hun
manzoor ye tohmat kehti hun
tere jalwey tou ek perda hain
tere dil ki hi baatein karti hun
kitne rang hain is pathjhad ke
ek tera rang dhunda karti hun
be-hissi had jub toda karti hai
tere khayaal bulaaya karti hun
log faramosh mujh ko kar denge
teri mehefil may tou rehti hun

Sunday, August 30, 2015

is tu tu mai ki kahaani ki'......






Un khaali khaali ankhon may
Phir se koi khwaab jagayegi
wahi chaand phir kal ubhrega
chaandni dil may uter aayegi
aaj ki shab khaali haath sahi
Kal koi subah sitaara laayegi
is tu  tu  mai ki  kahaani  ki
saari umr laa-haasil jaayegi
Deewano duniya zaahir hai
Apna Izhaar Tum se  paayegi
koi tadbeer karo na manzil ki
Is rasam ki raah nikal hi aayegi
tere waade per kaamil emaan hai
ye duniya tujh se hi shafa paayegi

Wednesday, August 19, 2015

kardo kardo karam....







hai baad qadam-bosi ke ye arz hamaari....
Rahbar yaad dilaata hai her roz tumhaari...
anmol hai aapke taaj ka vo shah nageena
usi may doob kay paaya hai apna safeena
kya maangte hum dekh ke sarkaar ki surat
aap ke dar se hi mili hai is dil ko baseerath
ek amal hamesha ke liye ho gaya qaayem
derd ke badle taaseer-e-dua hogai daayem

Saturday, August 8, 2015

yaad aa raha hai....................




phir yaad aa raha hai un ankhon ka istejaab
us tapti dopeher may nikal aya tha mahtaab
pas manzar tha charsu ek khilta hua gulaab
maano us lamha chat gaya ho rooh ka hijaab
ajab moqam tha bhul gaye alamon ka hisaab
ek muztar ko uda le gaya vo noor ka sailaab
mere sohne rab ki hikmat ka koi nahi jawab
sharf adam ka kabhi zaaya na ho saka janab

Tuesday, August 4, 2015

roz ek taqaza karte ho.................





roz ek taqaza karte ho
roz dawa ki zid karte ho
per marz apna hai nayaab
her roz hai roz-e-hisaab
jub dil shikwa karne lagta hai
ek aaina ankhon may khulta hai
dekh aye baatin tere sitam
rooh ko diye hain tune zakham
kaash jawani hoti na ghum
kaash ye bachpan jaata thum
aane ko mod sunehere bhi aaye
mosam malhar darbaari bhi gaaye
panchi sa dil gaaye haaye vaaye
pal may phir wahi haaye haaye
koi kahan baandh saka lamhon ko
jub dil ne par they apne phailaaye
ek jast ki bas doori thi
hum hote aur unke saaye
taaron se bhi baatein hoti theen
chaand se mulaqatein hoti theen
badal door se lalchaate they
ek ek buund ko tarsaate they
rahbar dil dhona chahta tha
so roz lahu rulaata tha
ek roz qayamat se bhi mile
us lamha saare armaan jale
bhasam huye khahison ke marz
usne yaad dilaaye ulfat ke farz
usne hans hans kar ye samjhaya
bas ek raaz hi apne haath aaya
sabar ka phal meetha ho na ho
ezaaz zabt ka wahi kehlaaya
ek jahaan ki hasrath may
dono jahaan se jaaoge
gar khud ko samajh jaaoge
dono jahaan khud may paaoge

Monday, August 3, 2015

vo waqt aur tha.........................





ab shayed koi geet hum gaa na sakenge
ab shayed koi baat hum bana na sakenge
zindagi samajh rahe hain teri chaal hum
shayed ab teri baaton may aa na sakenge
vo waqt aur tha hum jis ke ghulaam they
Aaj koi zanjeer khud ko pehna na sakenge
hosh ke nakhun,dawa,sab le chuke hakeem
beemaar ko phir beemaar bana na sakenge
yaaron ne jo diya qismat samajh ke rakh liya
ab dushman ka koi ehsaan utha na sakenge
sadion ke baad bhi zindagi ki surat wahi rahi
ek tere siwa koi surat dil may basa na sakenge
mudat hui teri deed se dil ko roshan kiye huye
ab shayed vo  khwab may bhi aa na sakenge
jub bhi uthaaye haath tujh ko kiya hai yaad
ab shaayed tere ghum humen rula na sakenge

zindagi humne aaj tujhe ......................





zindagi humne aaj tujhe 
teri nazar se dekha hai
husul se behter hai faham
aaj tujhe ghaur se dekha hai

apni nazr may thi duniya saudai
her nazar ilzam her khata ruswai
ek apne siwa her ankh nazar aai
raah dekhi na,sada thokar khai

log perdon ko tamasha karlenge
apne ilzam kisi aur pe dhar leinge
ek dusre ki khushi ku har lenge
bemaqsad hi gunaah apne sar lenge

soch ko jo manzar dikhaaye humne
khud may wahi khwab jaagaye humne
ek umr ganwa kar tujhe paaya humne
teri khatir bada khud ko sataaya humne

yaqeen hai bas ek aapki hi surat........................





mere sarkaar aapko hai darkaar
na-jaane kyon ki wahi takraar
karam beshak khamosh ho laikin
shafa ka ho kar rahega izhaar
mere yaqeen ko na rondo sarkaar
ye khayal jeena karde na dushwaar
yaqeen hai bas ek aapki hi surat
aap rakhte hain meri khabar sarkaar
sunaayenge agar hum daastaan apni
kahin zikr aapka bhi na aajaye sarkaar
khayal to gum they adam ki duniya may
unke hast ka bolein kon hai zimmedar
isi bahane dekhli zindagi humne teri surat
nadan warna khaali haath jaate sarkaar

Friday, July 17, 2015

ek dastaan lailawi si......................





mere hakeem ka hukum hai
elaan ho shafa ka
vo daastan jo pehle
dabe lafzon may reh gaii thi
taqaza hai ab uske bayan ka
chalo aaj hum sunayen
ek dastaan lailawi si
hikmaton ki zubaani
hoshmandon ki kahani
khuda ne chun liya deewana
maqsud ko tha hosh may laana
ek din tu mil gaya raaston may
tu chupa tha waaston may
khul kar jub samne tu aaya
phir deewane ku hosh na aaya
teri chaal koi jaan hi na paaya
dojahan ulfat may haar kar hi
raaz ulfat ka haath aaya
beemaar zehenon ka ilaaj yehi tehra
khud marz hi dawa ka hul tehraya

Saturday, June 20, 2015

hawa ched na tufaan..................





hawa ched na tufaan ko apne jhonkon se
puraana  waasta hai in ka aise dhokon se
barasna hi moqadar hai to khul ke barsenge
kahan ghabrate hain badal aise mauqon se
aao karo masmaar qila jo khud hai girne ko
koi tasveer ubhar na aaye in jharonkon se
be-niyaam hokar jo chake hai maza jigre ka
vo talwaar uthaii jaaye na laakhon se
maana sitam ka ek aur perda karam bhi hai
laga ke ilzam nazar aaye khair-khahon se
meherbaan ek wahi hai saare zamaane may
gar vo chahe to uter aaye khaali ankhon se

Tuesday, June 16, 2015

shah-e-jahan khair se ho aapki amad.......







shah-e-jahan khair se ho aapki amad
phir se mubarak ho aapko meri hukumat
sau jaan se karte hain aapka khair moqadam
jaan gaye aap ke dum se hai mera dum
kaise do lafzon may simat aayi hai meri kahani
na raha umr ka shikwa na yaad rahi koi jawani
bas yaad raha ek aapko hi maangne ka taqaza
zindagi chahe rahi ho nadan chahaton ka taqaza
apnaye sada aapki beloose mohabbat ke hi zewar
hasrathon ne laakh dikhaaye zamaane tere tewar
meri doobti hasti ka kinaara wahed aap ho saheb
meri adhuri qismat ka sitaara wahed aap ho saheb
yarab tera karam sada mera rakha tu ne bharam
tujh se behter koi kya jaane tere kya hain hum
sada rakhna hum per apni shafaqat ka ye saaya
ban ke rahbar tu hamaara sada saamne aaya

Tuesday, June 9, 2015

deewangi ko hosh kabhi na mil sake.................







tujh ko aye zamaane
mai kya suna rahi hun
mere khayaal ki be-khayaali  
manzar-e-aam laa  rahi hun
kya waqi hai ye be-khayaali
ya tujhe sheesha dikha rahi hun
jibilatein kahin muh na mod lein
so khayaal per perda gira rahi hun
deewangi ko hosh kabhi na mil sake
so khud ko deewana bana rahi hun
kya duhaii dun, aur tere shauq ko 
roz ek barchi tujh ko thama rahi hun
hukumatein tujhe na raas aayengi ghulam 
mere aqa ke rubaru sar ye jhuka rahi hun

Monday, June 8, 2015

tere mere darmyaan theen jo baarishein......




tere mere darmyaan theen jo baarishein
vo aaj bhi dhundti hain apni zameen
unhen gumaan tha ke barsi theen kabhi
vo aaj bhi dhundti hain apni numi
koi derd kahin tha bheegta hua
kahin gunjti rahi madham si hansi 
ajab tha qurbaton ka apna mizaj
vo lamha bana raha phir bhi ajnabi
zindagi ne daman apna bacha liya
vo baarishein kahin aur baras hi gayeen

Monday, June 1, 2015

ishaara kar rahi hain nishaniyan.....





ye  zindagi  hai  bati hui
isey bantna hi shaoor hai
wasaten iski jitni badheen
isey mangnna hi dastoor hai
mohtaat hain jo daana-e-waqt
ye unke ahwaal ka qusoor hai
ye faramoshi unki naii nahi
ke admi azal se kamzor hai
askh shikwa hain na kar byaan
derd maqbool rab ke huzoor hai
ishara kar rahi hain nishaniyan
ummid ki manzil nahi door hai

Monday, May 11, 2015

Maula mere Maula






Aye mere khalikh mere rab 
tujh sa nahi koi hakeem
Teri hikmaten israr hain
kahan paaye inhen aql-e-saleem
Tu  bana dawa aur derd 
us se bhi pehle tu hai kareem
Teri zaat jalla jalalahu 
koi tujh sa nahi hai raheem
Kahin khamoshi hai teri zaat 
kahin milta hai ban ke kaleem
Kahin zakhm karah uthen
deta hai hawa ban ke naseem
Mera hajatrawa mere mushkil kusha 
tu hi tu mera rab-e-azeem
Bande ke zaahir baatin may tu 
qudrat ki her ada teri ada-e-haleem

Teri khamoshi meri guftagu......





mere husn ka mayaar tu
mere ishq ki dastaar tu
Teri zaat hai meri justaju
teri khamoshi meri guftagu
tere dum se hai mera khayaal
tu nahi to nahi mera koi sawal
Ek azam hai ab meri zindagi

Is zabt May chupi hai bandagi
Do jahan mile tu jahan bhi mila
Meri nazar may hai tera silsila
Berabt dhadkanon ku tham le
Ek baar phir tu mera naam le
Mere yaqeen ki tu hai dua
Ek tanha derd ki tu hai dawa
 

Monday, April 20, 2015

keh raha hai her lamha agahi ka..............





meri saansen chin rahi hain
meri nabz thum rahi hai
kaii din se mizaj apna
meri dhadkan badal rahi hai
akhir saabit yehi hua hai
badalna hi nashonuma hai
ab aage khuda hi jaane
badle may kya kya badle
dhadkanon ka gar sila hai
teri atta mujh ko chun le
duniya chaki hai gardishon ki
ye roz koi jism kuchle
vo adam bhi kya they adam
jo kabhi raah apni na badle
ye tamashbeen kub say
qayamat ke muntazar hain
ye jasarath hai khahishon ki
haath jinke jo aaya phisle
waqt karta raha hai aagah
mai bisaath hun tu khiladi
bich sakta hun magar mai
uske haath meri her ghadi hai
hole hirasaan ,hairan, pareshan
tu mahaz  hikmat ki ek kadi hai
koi damsaz saath na chal sakega
teri nadamaton se na tul sakega
keh raha hai her lamha agahi ka
maut ki niu per hi zindagi khadi hai

Thursday, April 9, 2015

Maine aaj apni.....................





Mai ne aaj apni
yaadon ki kirchiyon se
apne khoye palon ku
halke say jub kureda
mere dosto yaqeen maano 
kahin na tha nishan koi
na koi malaal talkhiyon ka
ke tha maazi dars-e-imaan
wahan na hisab tha na guman
wahan wahi jalwa numa tha
khizar ki surat milta raha tha
raahen badal kar chalta raha tha
dastak uski mili ho jin dilon ku
wahan kya kaam sadion,palon ku
na sawal na khauf-e-fana tha
hai ishq hairan 
mai kya kya bana tha

Saturday, March 28, 2015

Goya huye hain vo....





Goya huye hain vo
Ab bhi khamoshion ke saath
Andaz unke keh rahe hain
Jaise hui nahi hai koi baat
kahin khayaal pareshan 
Hona na chod dain
Mahaz is ek khayaal se
hum kha rahe hain maat

Saturday, March 21, 2015

us ne kaha tha kabhi mujh se......





usne kaha tha mujh se
jahan bhi chalungi mai
saath hoga vo saaya sa
lagta hai ab mujh ko
wahi to hai mera saaya
meri ahaton may hain
ahaten us ki madham si
meri saanson ko milti hain
be-awaz saansen us ki
mere din raat may shaamil
wahi to hai zindagani sa
gumshuda is zaat ka meri
uska patta hai patta mera
ehsaas arzi panahon ka hua zayel
rooh jismon se takra kar hui ghayel
ye bhed ab jaa ke saamne aaya
tu meri rooh ka hai hum saaya
ye khula keh raha hai kub say
koi asmaan yehan kabhi barsey
lamha lamha girti wahi buundain 
ab tak mujh pe larzaan hain
qatra qatra milti is zindagani ki
num hasrathon pe  nazaan hain
sad afsos ek umr ka zyaan hona
be-maqsad nahi hai apna yehan hona

Wednesday, February 25, 2015

Najaane kyon......







Najaane kyon zindagi ke mosam
Zehen-o-dil may kahin nahi hain
Guzarte shab-o-roz ke ye manzar
Baab-e-khayaal se guzar gaye hain
Akhir ye nigaahen kahan reh gaii hain
Kahin apne mahvir ka tawaaf kar rahi hain
Mai hergiz na hatungi apne daayere se
Dhadkanen ek Isi laye pe thirak rahi hain
Acha nahi hai,dilon ka mansab se apne hatna
ye chakar hai zameen ke, zaat ke nahi hain
Mujhe sada apni hadon may baandhe rakhna
Samandar ki wasaton si ye teherti nahi hain
Ye tufaan waqt ka  chin le na hisson ku
Ek Tilsimati gulsitaan ki shahid wahi hain

Monday, February 9, 2015

Teri ek sitar aye charagar......





Teri ek sitar aye charagar
muzhda-e-jaan hai rahbar
teri ek nazar thi badi Kargar
Dojahan se kargai Bakhabar
hai ye konsa alam deedawar
Insaan insaan se raha mukar
Soch ka dar zara khol bashar
yehi alam hoga  roz-e-hashar
Teri zaat gali  teri zaat shahar
Tu hai rishton ki ek raah-guzar
duniya mahaz ek saa-at ka safar
tera hona us ke hone ki khabar
us ki hamd-o-sana ka hai ye asar
Ezaazil bhi bhul gaya apni dagar

Sunday, February 1, 2015

Lo aagaya hai phir se......

\



Meri nadamaton ka
Ehsaas hain sahaara
Zuban Soch ki alag hai
Rooh ko mila hai ishara
Meri hasti ko milgaya hai
Badi khamoshi se kinaara
tere qalb ne mere dil ko
Kitne tufaanon ne guzara
Haar jeet ka Apna maza hai
Ek tera taluq hai bada pyaara
Deewane ne ab Liya hai
Ishq ki talkhiyon ka chatkhara
Haasil bandagi ishq ki mili hai
Isi gali se aana jaana hai hamaara
Lo aagaya hai, naam-e-mohabbat
Yehi paigham haq ko hai gawara
Pehchan ka safar,paagaya hai Manzil
humko mil gaya hai hosh ye dobara

Saturday, January 24, 2015

zindagi kyon khafa hai tu.....................




zindagi khafa khafa si hai
akhir meri khata kya hai 
mili hai kisi aur ki ban kar
bata de ab ke saza kya hai

israar ka haq tou zaahir hai
justaju may phir maza kya hai
ghum-e-hijr ummid ka pehlu
bata tera ab muddua kya hai

khayal aakhir khayal hi tehre
aakhir in  say chupa  kya hai
nesti ka gawah hai abad tera 
admi  mitti  ke  siwa kya  hai

ye daau ye pech ye karam saazi
aakhir is daam may rakha kya hai
maqsad zuban ka hai jigar-saazi 
aye nadan tujhe ye hua kya hai

sarsarati khamoshi se poocha hai 
waqt ke perde may chupa kya hai
arsh aur farsh ka darmyan ghadi koi
kehti hai maang le teri dua kya  hai

Wednesday, January 7, 2015

ek nhanni manaadi................





maine abhi thama tha qalam
maine uthaya tha ek qadam
maine jana hi nahi kya hai sitam
maine abhi dekhe hi na they ghum
maine abhi paaye they na zakham
maine khaii thi khud se ek qasam
kabhi bazar apna na sajaungi mai
meri hasrathon ki boli na lagaungi mai
mera moqadar mere sarkar ki paa-e-khaak
wahi raah-e-mehbub jaanan apnaungi mai
meri fatah hogi dilon ki tashkeeri
meri zubaan hogi mulukgeeri
meri bihisht teri nishst may paaungi mai
mai na jaanti thi duniya kya hai
yehan soch ki manzil ka taqaza kya hai
haayel waqt ka her dar giraungi mai
log mita kar mit jaate hain
farq dilon ka mitaungi mai
meri yaas ko meri kamzori na jaan
wahin mili thi mujhe meri jaa-e-amaan
wahin baab-e-awal se mulaqat hui
us ka unwan khud ko banaungi mai
meri pukar may rang usi ke they
her rang may mai uski hi thi
jaisi bhi hun uski khelaungi mai

Saturday, January 3, 2015

zindagi ki ote se.......








Vo kehta raha
Mai sunti rahi
Is taane baane se
Khayaal bunti rahi
Zindagi ki ote se
Khwab chunti rahi
Talkhiyon ke tezab se
Koii maye banti rahi
Kahin koi gulabi shaam 
Tere khayal ki dhalti rahi
Her subah tere naam ki
Apni ankh malti rahi
saath hai vo saaya sa
Bas mulaqat talti rahi
Naye saal ki tarang se
Ek umang behelti rahi