Search This Blog

Monday, April 7, 2025

Dosto waqi aaj apni idd hogaii......



mere dosto dayaar-e-ghair mein

idd ki haseen jhilmilaati raunaqein,

surur o inbisat ki sarsarati mehefilien

watan-e-azeez ki dilaya karengi yaad

------------------------------------------------

jub jub aap sa  humein

pyaara lagaya kare galey

lagta hai tab humein  

waqi aaj apni idd hogaii

-----------------------------------

idd ki raunaqein isi tamaniyet mein hain

bikhri huii in  muskurahaton mein hain

jahan bhi koii dil apne dil mein bolta miley

wahin phir idd ki arzu ka ek aur gul khiley

idd tou tohfa hai bashar ki jahad e nafs ka

hum roz hi yehan idd ka samaa saath le ker chaley

jahan chargh e dil jaley paigham rab ka mile

derd ke maaron mein hi tumko tumhara rab mile

aao is idd e sayeed per hum unki dua karein

jin ke chaand sitaarey asmaan se jaa mile

----------------------------------------------------------------------------------


is saal idd ka mosam

kaii paigham leke aaya tha

kahin roshan horahe they dil

kahin andheron ka saaya tha

her seher jaise inayet thi

her raat rab se bande ki mohabbat thi

duaon may sab ne maangli duniya  

ahad hi bande ka wahed hai sarmaya

Thursday, January 9, 2025

Aye dil Zara hosh kar.....................




Aye dil Zara hosh kar

Tera kal na faramosh kar

tu utha hai khaak say

tera aaj na madhosh kar

---------------------------

tere khayal ke gerd 

uthi hai jo faseel ye

hai deewar chah ki

khahishon ke taar hain

tu na phalang paayega

ye moqadar tu ne hi chuna

isi gerdab may rah jaayega

isi gerdab may ghotey khayega

her ja ek dil muh takta hua

inse bichad kar kahan jaayega

wabasta hain ye dil say terey

inki khalish sah na paayega

maula nay soch kar dil chuney

her dil kahan wafa kar paayega

ye mohabbat hai ajab jadunagar

giraft may kahan her koi aayega

duniya saudagaron ki hai jahadh

muft may dil tera maara jaayega

Sunday, December 29, 2024

Ye khamoshi hai ishara.............

 



ye khamoshi hai ishara
ab hoga saamna hamara

-----------------------------
Roz dhadakte dil se hum
yehi bas poocha karte hain
Sab ki tarah aye jaan-e-wafa
Tum bhi chod ke chal dogey 
Ye na jaane kis ki aahat hai
sunnatton may bhi gunja karti hai 
ye betaab khamoshi kya kehti hai
Kyon khud say sehmi sehmi rahti hai
Kahan socha tha ek terey jaane say
Saare jeene ke bahaane bhi jaayenge 
shab-o-roz ki muh takti khilwat may 
bhule bisre ghum sath nibhane aayenge
tere baad khula raaz hum per jaanan
tera lams tera nishan khud may paayenge
tere saath guzar gayeen apni nindein bhi
hum bikhri kadiyon ko mila na paayenge
khwab haqeeqat alag,alag fasaane hain
is paheli ko jaane kon bujhaane aayeng

Wednesday, November 27, 2024

Sab ne dekha bas Zahir................



jisey  dil may  basaya karte hain

usey sab  say chupaya karte hain

unhi per israr haq ke khultey hain 

jo dil, dil may hi lutaya kartey hain

-------------------------------------------------------

sab ne dekha bas zahir

sab ne kaha ye dhoka hai

sab ko kahan mili khabar

ye gumrahi bhi mauqa hai

vo nazar nahi thi sab ke liye

usi  dil  ko mili jo sab ka  hai

aye hasrath ho teri umar taweel

tu ne  pashemani se roka hai

jo ehsaas paikar may dhalte hon

faaslon may bhi saath chalte hon

Ye silsila agahi ka anokha hai

sach poocho tou hai vo saaya sa

rangon may uska rang chokha hai

lafzon may kahan vo samaaya hai

bande teri soch ka vo ek mauqa hai

Wednesday, November 6, 2024

Aye kaash hum bhi..............

 


mohabbat ke liye

ek umar kaafi nahi hai

jo be lutf cut gaii   

us ki muafi nahi hai

--------------------------

khauf-o-kashmakash  may

husn waqt ka na ganwatey

aye kaash hum bhi

kabhi dil ko azmaatey

kabhi mosamon ki suntey

kabhi zindagi ki maan jaatey

kabhi  dhadkanon ki laye per

mohabbat ka geet koi gaatey

her kisi ka moqadar  

dil ki abiyaari nahi hai

her kisi ki qismat may

ye zarb kaari nahi hai

gar ghum  se yaari nahi hai

haaziri ki tayaari  nahi hai

zindagi ke naghmageen lamhe

sarmaya hain aane waale kal kay

yehi derd  baa-wafa hain aye dil

ji uthenge baar baar insay mil kay

Tuesday, September 17, 2024

Zindagi kaash tujh say mil kar....




zindagi kaash tujh se mil kar tujh ko apni arzoo bataate

tujhe jeena chahte they gar jeene ke mauaqe haath aate

-----------------------------------------------------------------------------

zindagi ab aur konsa perda uthana chahati hai

mere azam kyon khaak may milana chahati hai

mere bharam mere sukun ka wahed aasra hain

kyon meri nazron se khud ko giraana chahati hai

kal talak meri muskurahaton ka jo sabab rahe they

kyon bhent apni kasoti ki unko chadana chahati hai

humein ye rishtey badey maan se bakhshe gaye hain 

kyon tu un ke dil se meri hasti bhulana chahati hai

zindagi,kitni mushkilon se behala rakha tha tujh ko

kyon khaak hote jism-o-jaan ko aur jalaana chahati hai

akhir ek din in sanglakh junglon se muh modna hi hai

chund palon ke sarab ko kyon aina dikhana chahati hai

zindagi tujhe guzara hum ney khwab-o-khayal may hi

kyon ghurub-e-shab say pehle humko jagana chahti hai

jaane hai ye khel kaisa tulu-o-namud ki ibtida say pehle

kyon hijir ki daastaan kay panne paltaana chahati hai

chalo sar tasleem-e-khum hai jo mizaj-e-yaar may aaye

zindagi mere maula tera paigham hona chahati hai

Friday, September 13, 2024

Ek Shaam khud ko khojti hai....



ek shaam hosh dhundti hai

ek shaam khud ko khojti hai

mai akhir gaii tou kahan gaii

mere hosh ko akhir ye hua kya 

meri soch se kyon kar mahu hui

Ya-rab mere hafizey ki khair ho

tere karam may kabhi na daiyr ho

mera tere siwa yehan kon hai bhala 

gar dasht yaadon ka bhi kho gaya

gar ye sarab hasti ko nigal gaya

mujh may sab jo hai bas tu hi tu

tu hi rakhna apni haqeeqat ki abru

mai jaisi bhi hun maula hun tou teri

teri dast-e-nagar hai zaat ye meri

tu jaanta hai weheshet ki chaal say

usey bakhabar karna uske zawaal say

ke teri laathi be-awaz hai jaan le

khata se pehle taye hoti hai saza 

zara be-khata ki aahon ko pehchan le

gar arsh waaley ne sunli dil ki sada

ab bhi waqt hai baat haq ki maan le

kya kya mitaayega tu mere hafizey say 

kya nikal paungi mai tere hafizey say

mai bujh lungi  hikmat ki ye adaayein

herdum gheyrey huye hain teri panaahein