Waqt ne kaha mujhe na rok paayega
Jism ne kaha ek din sath chod jaayega
Teri khamoshi ko koi sun na paayega
Tu apne dil ki dil may hi le jaayega
Her Roz maheshar ka manzar dikhayega
Yehan insan, insan per qayamat dhayega
Ji le ye ghadi phir ye waqt nahi ayega
duniya se dil laga kar kuch na paayega
Kaafi hain ye sabaq ,zindagi ab bakhsh de
dil-e-shakista ka bojh uthaya na jaayega
Aksar sakun ki talash asmanon may ki
Qaul se qaal tak ka safar yon hi cut jaayega
Aah ! Raah-e-faham ek umar maangti hai ye
Gar mil gaii tamam kofton se nikal jaayega
.jpg)
No comments:
Post a Comment