Ehsas ka safar tu ney kiya hi nahi
husn jazbon ka tu ne jiya hi nahi
Warna dil ye tera,mera Makan hota
teri yaad ka lamha lamha jawan hota
Akhir dil se dushmani tujhe kaise raas aai
Aye Kaash jaan leta,is dil ka sayeban hota
Log aate hain Jahan may imtihaan dene
dil-e-natawan ka tune imtihan liya na hota
Kirdar bantey hain yon hi girte sambhalte
thokaren na hoteen admi kaise insan hota
aaya samajh,vo Mila hi kyon tha aakhir
gar ashkaar hota zindagi per ehsaan hota
Bhes usney liye hazaron, teri hi khatir
Teri pukaar per kaun aisey meherban hota
Tere awaleen ke karam kaam aa gaye akhir
Bhanwar se bach nikalna kahan asan hota

No comments:
Post a Comment